Total Pageviews

Friday, September 25, 2009

Sunday, August 9, 2009

Haq wafa ka jo hum jataane lage

Haq wafa ka jo hum jataane lage
aap kuchh kehke muskuraane lage

hum ko jeena padega furqat mein
wo agar himmat aazmaane lage

darr hai meri zubaan na khul jaaye
ab wo baatein bohat banaane lage

jaan bachti nazar nahi'n aati
gair ulfat bohat jataane lage

tum ko karna padega uzr-e-jafa
hum agar dard-e-dil sunaane lage

bahot mushkil hai sheva-e-tasleem
hum bhi aakhir ko jee churaane lage

waqt-e-rukhsat tha sakht "Hali" par
hum bhi baithe they jab wo jaane lage.

Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha

Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha
Har Haal Mein Aage Badhta Raha....

Zindagi Ke Maayne Rukhna Nahi!!!
Jo Rukh Gaya Uss Ka Kad Ghatha Raha.....

Hausle Buland Ho To Hi Yeh Safar Asaan Hai!!!
Manzil par Pahunchne Ka Ek junoon Sa Dil Mein Uske Palta Raha...

Manzilein Abhi Aur Bhi Hai!!
Naa-Kaamiyabi Ke Ek Ehsaas Se Par Woh Darta Raha.....

Log Kehte Hai Ke samundar Ki Gehrai Mein Hi Moti Chupe Hote Hai!!!
Aur Ek Woh Tha!!! Jo Zindagi Bhar Gehraiyon Se Hi Darta Raha...

Aadmi Insaan Ke Fitrat Ka Hai!!!
Umar Bhar Raah Apni Badalta Raha....

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....

"Khwaish" Zindagi ka Safar Bas Kuch Yuh Hai!!
Jo Chale Seedhe Raah par To Manzil Bahut Kareeb Hai!!!
Jo Chale Tedha,Woh Bas Girta Raha....

Zindagi Bhar Woh safar Karta Raha...

Saturday, August 8, 2009

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

Friday, August 7, 2009

Mumkin Ho Aapse To Bhula Dijiye Mujhe

Mumkin Ho Aapse To Bhula Dijiye Mujhe
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe

Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko
Main Kya Hoon, ek Baar Bata Dijiye Mujhe

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mouzo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe

Ki Maine Apne Zakham Ki Tashreeh Ja Baja
Main Maanata Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhe

kayam To Ho Sake Koi Rishta Gohor Ke Saath
Gehre Samandaron Mein Baha Dijiye Mujhe

Jalte Dino Mein Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuki
Lekin Sulag Uthoon so Hawa Dijiye Mujhe

Thursday, August 6, 2009

Hum ne kaha na kbi teray dil main khayal Aaya

Hum ne kaha na kbi teray dil main khayal aaya
Phir dilon main kahan se ye malal aaya

Jb kbi b hath uthaye maine dua k liye
Aaya to bus aik tera hi mje khayal aaya

Jab b dekha maine chaand ko jharokay se
Muqabil uss k hamesha hi tera jamaal aaya

Apnay logon ki hi karam farmai rahi shamil
Muhabbat ko zamanay main jab kbi b zawal aaya

Judai ne sikha hi diye uss ko aadab-e-muhabbat
Uss sitamgar ko b kbi mera khayal aaya

Sath rahain yun hi ya juda ho jayen hum
Muhabbat ki raah main kbi esa b sawal aaya

Her mausam hi raha hamaray liye hijar ka mausam
Her saal hi hamaray liye judai ka saal aaya

Meray Liye To Hurf-e-Duaa Ho Gaya Wo Shakhs

Meray Liye To Hurf-e-Duaa Ho Gaya Wo Shakhs
Saray Dukhon Ki Aisi Dawa Ho Gaya Wo Skakhs
Mein Aasmaan Tha To Zameen Ki Kashish Tha Wo
Utra Zameen Pr To Hawa Ho Gaya Wo Shakhs
Sochon Bhi Ab Usay TO Takhyul Ke Par Jalay
MujhSe Judaa Hua To Khuda Ho Gaya Wo Shakhs
Sab Askh Pee Gaya Meray Ander Ka Aadmi
Mein Khusk Ho Gaya Hoon Hara Ho Gaya Hai Wo Shakhs
Mein UsKa Haath Dekh Raha Tha Ke Dafatan
Simat Simat Ke Rang-e-Hina Ho Gaya Wo Shakhs
Phirta Hai Le Ke Aankh Ka Kashkol Darbadar
Dil Ka Bharam Luta To Gadaa Ho Gaya Wo Shakhs
Parhta Tha Mein Namaz Samajh Ke Jisay Farz
Phir Yun Hua Ke MujhSe Qaza Ho Gaya Wo Shakhs