Kuch is tarhan se usay piyar karna parta hai,
k apny piyar se inkar karna parta hai,
kabhi kabhi to wo itna qareeb hota hai,
k apny aap ko deewar karna parta hai,
khuda ne usko ataa ki hai wo maseeha'ee
k khud ko jaan k beemar karna parta hai,
wafa ki raah main dushwaarya'n to aati hain,
wafa ki raah ko humwaar karna parta hai,
wo haath rakh k mere dil pe jab puchta hai,
to mujh ko dard se inkar karna parta hai,
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment