Total Pageviews

Saturday, August 1, 2009

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto

tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto 
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto 

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein 
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto 

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise 
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto 

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa 
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto 

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo 
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto 

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai 
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto

No comments:

Post a Comment