Total Pageviews

Sunday, June 21, 2009

Kuch Methay Lamhay Maangay Thay

Kuch Methay Lamhay Maangay Thay
Kuch Sard Hawain Maangi thein....

Ham Ne To Zamanay Waloon Se
Do Chaar Wafaain Maangi Thein....

Barsat K har Ek Badal Ne
Je Bhar K Hamay Tarsaya Tha....

ham Bheeg Sakain Ye Socha Tha
Aur Kali Ghataein Maangi Thein...

Nakam Huway Jo Ulfat MAy
Majboor huvay Jo Milnay Se....

kuch un K LIye Kuch Apne Liye
Ham Ne bhi Duayein Maangi Thein.....!

Na May Paas Uska Bula Saka

Na May Paas Uska Bula Saka
Na May Dil Ki Baat Bata Saka.....

Wo Hansi Hansi May Chal Dia
K May Haath Tak Na Hila Saka....

Youn He Sochta Raha Door Tak
,Magar Usko Kuch Na Bata Saka....

Ye Mukaam he Tha Ajeeb Sa
K Main Khud Ko Na Bacha Saka....

Woh Juda Bhi Kesay Hui K May
Koi Rasam Tak Na Nibha Saka....!
Woh Mujhy Apna Kehta
Tha Hamary Milny Ko Sapna Kehta Tha
Jo Milny Me Zara Der Ho Jati
Chand Pal K Intazar Ko Tarapna Kehta Tha

Woh Kehta Tha K Tum Meri Jan Ho
Mera Gumnam Hona ,Tum Meri Pehchan Ho
Kehta Tha K Tum Hi Ho Mera Sb Kuch
Meri Zindgi Tamaam Ho

Woh Jo Kehta Tha K Bin Tery Zndgi Adhori Hy
Tu Saath Hai Tabhi Ye Sans Puri Hai
Woh Kehta K Tery Siwa Kuch Dikhai Nahi Deta
Siwaye Teri Awaz K Kuch Sunai Nahi Deta

Teri Khushbu Jo Sath Rehti Hai
Mery To Ik Lamha Bhi Mujhy Tanhai Nahi Deta
Or Phir Aik Din Achanak Mila Mujhy Woh
Or Mujh Sy Pucha K. . . .TUM KON HO?

Saturday, June 20, 2009

Chalo Khawab Aankhon May Saja Kar Dekhtay hayn,

Chalo Khawab Aankhon May Saja Kar Dekhtay hayn,
Chalo Ham Kisis Ko Apna Bana Kar Dekhtay Hayn....

Khoon K Rishtoon Se Aitabar To Toot Gaya,
Chalo Benaam Rishtay Bana KAr Dekhtay Hayn....

Zindagi Aasan Ho Jae Shayad Hamari,
Chalo Haath Ki Lakeerain mita KAr Dekhtay Hayn....

Andheri Shab To Kisi Surat kat'ti nahi,
Chalo Ghar Apna Jala Kar Dekhtay Hayn....

Hamay Maloom Hay K Tum Ne Hamara Hona Nahi,
Chalo Tum Per Ye Zindagi Luta Kar Dekhtay Hayn....!

chehray pe mere zulf ko phailao kisi din

chehray pe mere zulf ko phailao kisi din
kia rooz garajtey ho baras jao kisi din

razoon ki tarah utro mere dil main ksi shab
dastak pe mere haath ki khul jao kisi din

peiroon ki tarah husn ki baarish main naha loon
baadal ki tarah jhoom kr ghar aao kisi din

khushbo ki tarah guzro meri dil ki galli se
phuloon ki tarah mujh pe baras jao kisi din

phir haath ko khaira'at mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab o wasal ko duhrao kisi din

guzrey jo mere ghar se tau ruk jayein sita'arey
is tarah meri raat ko chamkao kisi din

main apni har ik saans isi raat ko de dun
sar rakh ke mere seenay pe so jao kisi din

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain
Lakin Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon
TumhareyMain Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

Friday, June 19, 2009

Sabhi nafratain sabhi ulfatain main yahen pe chor k jaon ga

Sabhi nafratain sabhi ulfatain main yahen pe chor k jaon ga
Jo likhi hain dil pe ibartain main yehen pe chor k jaon ga
Ye raqeeb aur ye raqabtain, ye rafiq aur ye rafaqtain
Ye higayatain, ye shikayatain main ye pe chor k jaoga
Koi rah main mill b gia, na banaon ga usay hamsafer
Tery sath chalny ke adatain main yehi pe chor k jaon ga
Mery bad ho mera zikr kia, mere lot anne ki fikr kia
Tery wasl ki sabhi hasratain main yehi pe chor k jaon ga

Mujh se kya poochte ho zindagi ke baare mein

mujh se kya poochte ho zindagi ke baare mein
ajnabi kya bataye ajnabi ke baare mein
arz sirf itna hai dosti ke baare mein
admi galat samjha admi ke baare mein
gair ko bura keh doon gair to nahi aisa
aap hi se shikwa hai aap hi ke baare mein
bewafa kaha mujh ko apne ne baja lekin
Is tarah nahi kehte har kisi ke baare mein

Friday, June 12, 2009

Muddat Se Dil Jis ke liye Beqaraar Tha

Muddat Se Dil Jis ke liye Beqaraar Tha
Woh Lout Ke Naa Aaya Magar Intezar Tha
Jo Humsafar Tha Woh Chhod Gaya Rah me Mujhe
Mein Phas Gaya Bhanwar me
Woh Darya Ke Paar Tha
Manzil Qareeb Aayi Toh Tum Door Ho gaye
Itna Toh Tum batao Ki Yeh Kaisa Pyaar Tha
Deewar Bandhi Kisne Dono Ke Darmiyaan
Na Woh Sukoon Se Baithe
Na Mujh Ko Qaraar Tha
Yeh Baat Umar Bhar Na Samajh Paya mein
Kyun Ye Dil Mera Uss Bewafaa Ka Talabgaar Tha............
Badnaam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale Toh Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte
Tanhiye Me Karte Hain Yaad Aanso Bahakar
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte
Waqt Aane Pe Yeh Maloom Ho jayega Tumhe
Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte
Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein
Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte....

Chaha tha us ko rooh ki gheraiyon k sath

Chaha tha us ko rooh ki gheraiyon k sath
Zinda hon apni zaat ki tanhaiyon k sath
Roka nahi tha us ko bicharrny k waqt bhi
Apni wafa py naaz tha sachaiyon k sath
Tujh ko bhula k apni he nazron mein gir gay
Ab samna hai karb ka,ruswaaiyon k sath
Mehky sada bahar ki soorat tera wajood
Tu muskuraay shaam ki ranaiyon k sath

Zamanay Say Suna Tha k Muhabbat Har Jati Hai...

Zamanay Say Suna Tha k Muhabbat Har Jati Hai...
Jo Chahat Yak-tarfa Ho Wo Chahat Har Jati Hai..
.Kahin Par Dua Ka Ik Lafz B Asar Kar Jata Hai..
"Kahin Barson Ki Ibadat Har Jati Hai...
"Muhabbat Kab Kisi Ko Dushmani Ka Dars Daiti Hai..
Muhabbat Ki Bazi Main Addawat Har Jati Hai..
Hamain Kitnay B Shikway Hon US Ki Jafaon K...
Per US K Samnay Her Ik Shikayat Har Jati Hai...
Ik Aarzoo C Hai K US Ko Bhool Jain Hum..
.Per US Ki Yad Aatay Hi Ye Hasrat Har Jati Hai..

Mere Bekhabar Tujhe kya khabar...

Mere Bekhabar Tujhe kya khabar...
Meri zindagi ka har ek pal...
Teri Aarzu teri justaju...
Meri Jeet tu...
Meri haar tu...
Mere Bekhabar tujhe kya khabar
Teri zaat woh nisaab hai...
Jise padhna mera khawaab hai...
Jo mere liye sarab hai...
Mere bekhabar meri baat sun...
Meri palkon se mere khuwaab chun...
Meri Chahtein aur Ibadatein..
Tere naam theen..Tere Naam hain...
Meray dil ki sari dhadkanein..
Bina tere mujh pe muhaal hain...
MERE BEKHABAR TUJHE KYA KHABAR...

""chalo aisa kareyn mil k sitaary baant lete hain""

chalo aisa kareyn mil k sitaary baant lete hain
zarooret k mutaabiq hum sahaary baant lete hain
mohabet kerny walon ki tijaaret bhi anokhi hai
munaafah chhorr dete hain khasaara bant lete hain
ager milna nahi mumkin to lehron pe qadamm rakh ker
abhi deryaa-e-ulfet k kinaary baant lete hain
meri jholi main jitny bhi wafa k phool hain
inko ikathey beyth ker saary k saary baant lete hain
siwaa khuloos k pas apny kuch nahi hai faraz
isi doulat ko hum qismet k maary baant lete hain

Thursday, June 11, 2009

""Woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee""

Woh paani kee lehron pe kiya likh rehi thee
Khuda jaaney "harf e dua" likh rehi thee
likha jis nay nawal wafa ka adhoora
wohee "pyaar kee inteha" likh rehi thee
bhala kartay kartay guzaaree jawanii
magar phir bhe khud ko bura likh rehi thee
mohabbat main nafrat mili thee usay bhe
jo har shakhs ko "be wafa" likh rehi thee
zara us kee aankhon se aansoo na niklay
woh jis waqt lafz "saza" likh rehi thee
Namaz e Mohabbat main woh apnay
hoay thay jo sajday,"qaza" likh rehi thee ....

Har baar mujhe Zakhm-e-judai na dia kar

Har baar mujhe Zakhm-e-judai na dia kar

agar tu maira nahin to mujhe dikhai na dia kar

sach jhoot tairi ankh say ho jata hai zahir

qasmain na utha, itni safai na dia kar

Maloom hai ab tu rahta hai mujhsay guraizan

Paas a kay Zindagi ki duain na dia kar

Ur jatay hain prinday to wapis nahi atay

har baar prindon ko rihai na dia kar