Total Pageviews

Sunday, August 9, 2009

Haq wafa ka jo hum jataane lage

Haq wafa ka jo hum jataane lage
aap kuchh kehke muskuraane lage

hum ko jeena padega furqat mein
wo agar himmat aazmaane lage

darr hai meri zubaan na khul jaaye
ab wo baatein bohat banaane lage

jaan bachti nazar nahi'n aati
gair ulfat bohat jataane lage

tum ko karna padega uzr-e-jafa
hum agar dard-e-dil sunaane lage

bahot mushkil hai sheva-e-tasleem
hum bhi aakhir ko jee churaane lage

waqt-e-rukhsat tha sakht "Hali" par
hum bhi baithe they jab wo jaane lage.

Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha

Zindagi Bhar Woh Safar Karta Raha
Har Haal Mein Aage Badhta Raha....

Zindagi Ke Maayne Rukhna Nahi!!!
Jo Rukh Gaya Uss Ka Kad Ghatha Raha.....

Hausle Buland Ho To Hi Yeh Safar Asaan Hai!!!
Manzil par Pahunchne Ka Ek junoon Sa Dil Mein Uske Palta Raha...

Manzilein Abhi Aur Bhi Hai!!
Naa-Kaamiyabi Ke Ek Ehsaas Se Par Woh Darta Raha.....

Log Kehte Hai Ke samundar Ki Gehrai Mein Hi Moti Chupe Hote Hai!!!
Aur Ek Woh Tha!!! Jo Zindagi Bhar Gehraiyon Se Hi Darta Raha...

Aadmi Insaan Ke Fitrat Ka Hai!!!
Umar Bhar Raah Apni Badalta Raha....

Khud Ki Khaamiyon Ko Nazar-Andaaz Karne Wala!!!
Auron Ko Hi Kyon Humesha Parakhtha Raha.....

Uske Jeene Ka Andaaz Hi Kuch Yuh Hai!!!
Zindagi ko Jeene Ki Koshish Mein Pal-Pal Woh Marta Raha....

"Khwaish" Zindagi ka Safar Bas Kuch Yuh Hai!!
Jo Chale Seedhe Raah par To Manzil Bahut Kareeb Hai!!!
Jo Chale Tedha,Woh Bas Girta Raha....

Zindagi Bhar Woh safar Karta Raha...

Saturday, August 8, 2009

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

Friday, August 7, 2009

Mumkin Ho Aapse To Bhula Dijiye Mujhe

Mumkin Ho Aapse To Bhula Dijiye Mujhe
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe

Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko
Main Kya Hoon, ek Baar Bata Dijiye Mujhe

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mouzo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe

Ki Maine Apne Zakham Ki Tashreeh Ja Baja
Main Maanata Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhe

kayam To Ho Sake Koi Rishta Gohor Ke Saath
Gehre Samandaron Mein Baha Dijiye Mujhe

Jalte Dino Mein Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuki
Lekin Sulag Uthoon so Hawa Dijiye Mujhe

Thursday, August 6, 2009

Hum ne kaha na kbi teray dil main khayal Aaya

Hum ne kaha na kbi teray dil main khayal aaya
Phir dilon main kahan se ye malal aaya

Jb kbi b hath uthaye maine dua k liye
Aaya to bus aik tera hi mje khayal aaya

Jab b dekha maine chaand ko jharokay se
Muqabil uss k hamesha hi tera jamaal aaya

Apnay logon ki hi karam farmai rahi shamil
Muhabbat ko zamanay main jab kbi b zawal aaya

Judai ne sikha hi diye uss ko aadab-e-muhabbat
Uss sitamgar ko b kbi mera khayal aaya

Sath rahain yun hi ya juda ho jayen hum
Muhabbat ki raah main kbi esa b sawal aaya

Her mausam hi raha hamaray liye hijar ka mausam
Her saal hi hamaray liye judai ka saal aaya

Meray Liye To Hurf-e-Duaa Ho Gaya Wo Shakhs

Meray Liye To Hurf-e-Duaa Ho Gaya Wo Shakhs
Saray Dukhon Ki Aisi Dawa Ho Gaya Wo Skakhs
Mein Aasmaan Tha To Zameen Ki Kashish Tha Wo
Utra Zameen Pr To Hawa Ho Gaya Wo Shakhs
Sochon Bhi Ab Usay TO Takhyul Ke Par Jalay
MujhSe Judaa Hua To Khuda Ho Gaya Wo Shakhs
Sab Askh Pee Gaya Meray Ander Ka Aadmi
Mein Khusk Ho Gaya Hoon Hara Ho Gaya Hai Wo Shakhs
Mein UsKa Haath Dekh Raha Tha Ke Dafatan
Simat Simat Ke Rang-e-Hina Ho Gaya Wo Shakhs
Phirta Hai Le Ke Aankh Ka Kashkol Darbadar
Dil Ka Bharam Luta To Gadaa Ho Gaya Wo Shakhs
Parhta Tha Mein Namaz Samajh Ke Jisay Farz
Phir Yun Hua Ke MujhSe Qaza Ho Gaya Wo Shakhs

Saturday, August 1, 2009

Youn Toh Guzar Raha Hai Har Aik Pal Khushi K Saath

Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath 
phir bhi koi kami si hai kun zindagi k saath 

rishtey,wafaein dosti sab kuch toh pass hai 
kiya baat hai pata nahi dil kun udaas hai 

har lamha hai haseen naye dilkashi k saath 
phir bhi koi kami si hai kun zindagi k saath 

chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbari bhi hai 
aankhon mai khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai

dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath 
phir bhi koi kami si hai kun zindagi k saath 

socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar 
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar 

qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath 
phir bhi koi kami si hai kun zindagi k saath!! 

Rooh Tak Jo Utar Jaye Main Woh Asar Rakhta Hoon

Rooh Tak Jo Utar Jaye Main Woh Asar Rakhta Hoon
Tujh se Bicahr Kar G Loon Itna Sabar Rakhta Hoon

Bhale Hi Aankheen Chura kar Chupa Lo kuch Mujh se
Jo DIl main jhank le Tumhare Woh Nazar rakhta Hoon

Bhale Hi Nakam Ho Gaya Main Karobar E Duniya main
Tum ko Pyar Tha Mujh se Yeh Fakhar rakhta Hoon

Tumhari Berukhi ne Mujhe Jina Sikha diya hai
Ghum main bhi Muskurane ka Huner Rakhta hoon

Tum ne Giraya To Khuda ne Thaam Liya Mujhe
Jahan Qadam ho main Wahin nazar rakhta Hoon 

Khud Apne Liye Baith k Sochenge Kisi Din

Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya Waqt to likkhenge kisi din

hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din

apas ki kisi bat ka milta hi nahi waqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din

ai jan teri yad k be-nam parinde
shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din

jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak
ankhon main teri dub k dekhenge kisi din

khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se
ik nazm tere vaste likkhenge kisi din

soyenge teri ankh ki khlwat main kisi rat
saye main teri zulf k jagenge kisi din

khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se
galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din

'Saim' hai yahi ab k kafan bandh k sar se
us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din 

apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona

apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona
tum meri yaad ka har deep bujha kar sona

ik sitara bhi mere khayal ka baqi na rahey
chandni shab k nishanaat mita kar sona

darr lagta hay need he kaheen cheen na le
tera har roz mere khawab main aa kar sona

baad main log gira dain tou koi baat nahi
har taraf pyaar ki deewar bana kar sona

subha hotey he tere shehr se jana hy mujhe
aaj ki raat zara mujhko mana kar sona...!!!! 

ye sila mila hai mujh ko teri dosti ke peeche

ye sila mila hai mujh ko teri dosti ke peeche 
ke hazaaron gham lage hain meri zindagi ke peeche 

na to dil ka koi bharosa, na to meri koi manzil
main chala hoon kyon na jane kisi ajnabi ke peeche

tere aastaa'n se sir ko main uthaaunga na hargiz 
main kahan kahan na bhatka teri bandagi ke peeche 

mujhe keh ke tum sharaabi na karo jahaan main ruswa 
koi raaz bhi to hoga meri mehkashi ke peeche 

koiii unsay ja ke itna zara keh de 
main hua jahaan mein ruswa teri aashiqi ke peeche 

ye sila mila hai mujh ko teri dosti ke peeche 
ke hazaaron gham lage hain meri zindagi ke peeche 

Suney wo dil ki sadaa aisa silsilaa bhi nahi

Suney wo dil ki sadaa aisa silsilaa bhi nahi

Mai uss se baat karon itnaa hoslaa bhi nahi

qaid se azaad huwa panchi to phir ur na saka

sazaa uss jurm ki kaati ke jo kiya bhi nahi

lahoo lahoo hai dastaan, ashk ashk apni katha

sunaein kya! ke ab kehne ko kuch raha bhi nahi

zindagi ham ne tujhe har rang mai azmaya hai

bas ke ab aur jeene ki dil mai tamanna bhi nahi

dil lahoo, chaak-e-jigar , sokhtaa huwy lob-o-jan

maut kya maregi, ke jeeney ka gumaan bhi nahi

Wo mangta hai sabat chand sitaron ki chamak

Aur merey hath mai mitti ka ek diyaa bhi nahi.....

Gham-e-Hayaat Ka Jhagrra Mitta raha hai koi,

Gham-e-Hayaat Ka Jhagrra Mitta raha hai koi,
Chaley aao k Duniya se ja raha hai koi

AzaL se keh do, k ruk jaey doo gharri,
Sunaa hai aaney ka waada nibha raha hai koi

Woh is naaz se bethay hein Laash k paas
Jaisay rootthay hoey ko mana raha hai koi

Palatt kar na ah jaey phr sans nabzzon mein
Itnay haseen haathon se mayyat saja raha hai koi. . . !

Tum jo hotay to humain kitna sahara hota hum nay auroon ko na yun dukh main pukara hota

Tum jo hotay to humain kitna sahara hota
hum nay auroon ko na yun dukh main pukara hota

mujh ko yeh soch he kafi hai jalanay kay liay 
main na hota to koi aur tumhara hota 

aur hum beth kay kamoshi say roye jatay
shaam hoti kisi darya ka kinara hota

dil say dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki 
kis tarha ujra howa shehar gawara hota

chand hota kay meri jan sitara hota
hum nay ek teray siwa sab ko apnay dil say utara hota

tu nay socha hai kabhi kitna muhabbat kay beghair 
rooh farsa dil-e-veera ka nazara hota 

Mohabbat Ka Apni Silaa Chaahiey

Mohabbat Ka Apni Silaa Chaahiey
Mujhay Tum Say Bas Kuch Wafa Chaahiey
Zara Si Khushi Ka Pata Chaahiey
Humain Aur Duniya Say Kia Chaahiey

Meri Zindagi Ko Yeh Kia Chaahiey
Na Ho Khatam Jo,Woh Maza Chaahiey
Zamanay Nay Dein Hain Buhat Thokarain
Sambhalnay Ko Ab Aasraa Chaahiey

Judda Paas Reh K Hai Hona Kathin
Judda Honay Ko, Faasla Chaahiey
Yeh Manzar Nahin Ab Mujhey Dekhna
Nazaaraa Mujhay Ab Judda Chaahiey

Kabhi Aa K Kar Do Muqammal Issay
Ghazal Ko Meri Qaafiya Chaahiey
Nahin Chaahiey Aur Kuch Bhi Mujhay
Buhat Jee Lieya Ab Qazaa Chaahiey


Usay Bhoolnay K Liey Aye Khuda
Mujh Ko, Kuch Hoslaa Chaahiey....! 

Batoon batoon main bichadne ka ishara kar kay khud bhi roya wo buhat ham say kinara kar kay

Batoon batoon main bichadne ka ishara kar kay
khud bhi roya wo buhat ham say kinara kar kay

soochta rehta hoon tanhai main anjam-e khalos
phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara kar kay

jagmaga di hain teray shehr ki galyan main nay
apne har ashk ko palkon pe sitara kar kay

daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka 
aur kuch roz teray saath guzara kar kay


aik hi shehr main rehna hay magar milna nahi
daikhtay hain ye az'ziat bhi gawara kar kay 

Tu nay daikha hai kabhi ikk nazar shaam kay baad kitnay chup chaap say lagtay hain shajar sham kay baad

Tu nay daikha hai kabhi ikk nazar shaam kay baad 
kitnay chup chaap say lagtay hain shajar sham kay baad 

itnay chup chaap keh raastay bhee rahain gay laa ilm
chor jaaian gay nagar kisse roz shaam kay baad 

main aisay he gunha teri juddai main keeiay
jaisay toofan main koe chor day ghar shaam kay baad 

shaam say pehlay woh mast apni urranoon main rahaa
jiss kay hathoon main thay tutay hoay parr shaam kay baad 

raat beeti to ginnay aablay aur phir yeh socha
kon thaa bahisay agazay safar shaam kay baad

tu hai suraj tujhay kahan maloom raat kaa dukh
tu kisse roz to uttar mairay gharr shaam kay baad 

laut aaiay naa kisse roz woh awara mizzaj 
khol rakhtay hain isse aas peh darr shaam kay baad

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto

tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto 
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto 

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein 
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto 

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise 
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto 

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa 
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto 

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo 
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto 

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai 
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto

Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hai. Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hai.

Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hai.
Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hai.
Mein roaoon to daro dewar mujh pey hansney lagtey hain.
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai.
Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyoon sey.
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai.
Merey khwaboon ki basti sey janazey uthtey jatey hain.
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai.
Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai
Dil e nadan hamari to namo hi na muqamal thi
To herat kya jo bantey hi irada toot jata hai
Muqadar mein merey sagar shikast o rekhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata hai 

Dard Ke Hissey Bana Dil Ko Sajaana Chaahiye Yaad Koi So Gayi To Phir Jagaana Chaahiye

Dard Ke Hissey Bana Dil Ko Sajaana Chaahiye 
Yaad Koi So Gayi To Phir Jagaana Chaahiye 

Yoon Kissi Ka Roothna Lagta Nahin Acha Kabhi 
Par Guzarti Hai Jo Dil Par Bas Chupaana Chaahiye 

Pyar Mein Sehney Hi Hon Gey Ye Sitam Unn Ke Sabhi 
Aur Koi Gham Miley To Muskuraana Chaahiye 

Dil Ke Armaan To Yahaan Poorey Kabhi Hotey Nahin 
Aarzoo Ko Kuch Rula Kar Kuch Hansaana Chaahiye 

Roz Hi Miltey Hain Yaar Dost Ban Ker To Kayi 
Har Qadam Par Zindagi Ko Aazmaana Chaahiye 

Aansoo-on Ki Kya Khata Hai Ye Koi Samjha Nahin 
Pyaas To Bujhti Nahin Phir Bhi Bahaana Chaahiye 

Zindagi Ne Jo Diya Hai Woh Sabhi Kuch Kam Nahin 
Rooth Jaaye Jab Khushi Gham Ko Manaana Chaahiye ! 

Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai 

apane hathon ki lakiron main basaale mujhko main hoon tera, to nasib apana bana le mujhko

apane hathon ki lakiron main basaale mujhko 
main hoon tera, to nasib apana bana le mujhko

mujh se tu puchane ayaa hai wafaa ke maeni 
yeh teri sadaa-dili maar na daale mujhko

main samandar bhi honn, moti bhi hoon, gotaazan bhi 
koi bhi naam meraa,,, leke,,, bula le mujhko

tune dekhaa nahin aaine se aage kuchh bhi 
khudaparasti main kahin tu na ganvaale mujhko 

kal ki baat aur hai main ab saa rahoon yaa na rahoon 
jitanaa ji chaahe teraa,, aaj sataale mujhko

khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman 
kar diyaa tune agar mere havale mujhko

main jo kaantaa hoon to chal mujh se bachaakar daaman 
main hoon gar phuul to joode main sajaale mujhko

main khule dar ke kisi ghar kaa hoon saamaan pyaare 
tu dabe paanv kabhi aake churaale mujhko

tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam 
tu kabhi yaad to kar bhoolane-vaale mujhko

badaa phir badaa hai main zahar bhi pi jaaoon "Sameer" 
shart ye hai koi baahon main sambhale mujhko 

Kuch is tarhan se usay piyar karna parta hai,

Kuch is tarhan se usay piyar karna parta hai,

k apny piyar se inkar karna parta hai,

kabhi kabhi to wo itna qareeb hota hai,

k apny aap ko deewar karna parta hai,

khuda ne usko ataa ki hai wo maseeha'ee

k khud ko jaan k beemar karna parta hai,

wafa ki raah main dushwaarya'n to aati hain,

wafa ki raah ko humwaar karna parta hai,

wo haath rakh k mere dil pe jab puchta hai,

to mujh ko dard se inkar karna parta hai, 

Kabhi nazraien milaney main zamaney beet jatey hain, Kabhi nazraien churaney main zamaney beet jatey hain,

Kabhi nazraien milaney main zamaney beet jatey hain,
Kabhi nazraien churaney main zamaney beet jatey hain,

Kisi ney aankh bhi kholi to, soney ki nagri main,
Kisi ko ghar bananey main zamaney beet jatey hain,

Kabhi kali siyah rataien hamein ik pal ki lagti hain,
Kabhi ik pal bitaney main zamaney beet jatey hain,

Kabhi khola darwaza khari thi samney manzil,
Kabhi manzil ko paney main zamaney beet jatey hain,

Ik pal main toot jatey hain umr bhar k woh rishtey,
Woh rishtey jo bananey main zamaney beet jatey hain 

Mujhe wo door apne se kabhi hone nahi deta Wo meri neend ka dushman mujhe sone nahi deta

Mujhe wo door apne se kabhi hone nahi deta 
Wo meri neend ka dushman mujhe sone nahi deta 


Wo jis se pyaar hota hai wohi ham ko rulata hai
Jo ham se pyaar karta hai hamai rone nahi deta 


BichaRte waqt tum ne ye kaha tha "huns ke ji lena"
Tumhaara be'reham waada mujhe rone nahi deta 


Ajab ik kashmakash ma usne mujh ko daal rakha hai
Wo mera hai magar apna mujhe hone nahi deta 


Ye sach hai ma zamaane se alag gumsum sa rehta hoon
Magar main aap ko aankhon se gum hone nahi deta 


Zamaane se alag sab se chupa kar dil ma rakha hai 
Khazaana aap ki yaadon ka main khone nahi deta 


Khuda ne kuch na kuch hamaare bas ma rakha hai
Magar wo apni marzi ke bina hone nahi deta